Powered by Blogger.
 

Sunday 7 December 2014

Iss raat men khirki kholi, Samnay apnay paya chaand...

0 comments

Iss raat men jb khirki kholi,
Samnay apnay paya chaand,
Dil dekh k muskuraya yun,
Samnay apnay jese ho tu.
Humne dil se ye poocha,
Aakhir tu itna khush hai kyun?
Koi gham nhen kia judai ka,
Hansta hai aakhir itna kyun?
Dil halkay se phr mukuraya,
Aahista se phr ye samjhaya,
Dekh zara tu doob k is men,
Iss chaand men sub wo rehtay hain,
Tu pyaar jinhain krta hai,
Aahain jinki bharta hai,
Sapnon men jnse milta hai,
Deedar pe jin k marta hai.
Wo sub bhi abhi iss lamhay men,
Iss chaand ko dekh rahay hongay.
Or socho zara iss lamhay men,
Ata hai khayal jinka tmhain,
Wo bhi jab iss chaand ko dekhain,
Tb yaad tmhari aaye unhain,
Aisa hi ek lamha ho bus
Hai is dil ki ye feryaad,
Ke kash kisi aisi shaam,

Aye un ko meri yaad..

Sunday 9 November 2014

Naat-e-Rasool Maqbool(S.A.A.W)

0 comments

Haq ki raah dikhai jis ne,
Bigri baat banai jis ne,

Uss ne deya haq ka paigham,
Rehmat-e-Aalam jiska naam,

Haq ki raah dikhai jis ne,
Bigri baat banai jis ne,

Khoobiyan hain ye piyare Nabi (S.A.W) ki,
Baatain bataien jis ne khuda ki,

Haq ki raah dikhai jis ne,
Bigri baat banai jis ne,

Kam milti hain or kisi men,
Khoobiyan thein jo piyare Nabi (S.A.W) men,

Haq ki raah dikhai jis ne,
Bigri baat banai jis ne,

Faiz jahan kia kia paye,
Kia kia ye Kashan bataye,

Haq ki raah dikhai jis ne,
Bigri baat banai jis ne,

wo dil bhi tha kbhe hamara...

0 comments

Ek ajnabi sa chehra, ankhon men jo basa hai..

0 comments

Kia ghazab ki ye dunya hai, Yahaan log bhi kese bastay hain..

0 comments


Chand lamhon ki ye kahani hai...

0 comments

Jis baat pe men dunya se inkaar krta hun..

0 comments